Nothing playing

Mere mehboob, mere is dil ne
Raat ko din, subah ko shaam likha
Itna bechain kar diya tumne
Maine ye khat tumhara naam likha
Pehli-pehli baar mohabbat ki hai
Pehli-pehli baar mohabbat ki hai
Kuch na samajh mein aaye, main kya karun?
Ishq ne meri aisi halat ki hai

Mera haal bura hai, lekin tum kaisi ho, likhna
Mera chodo, jaan meri, apna khayal tum rakhna
Kore kagaz pe maine saara armaan nikla
Mere is dil mein jo kuch tha, khat mein sab likh dala
Pehli-pehli baar shararat ki hai
Pehli-pehli baar shararat ki hai
Kuch na samajh mein aaye, main kya karun?
Pehli-pehli baar mohabbat ki hai
Kuch na samajh mein aaye, main kya karun?
Kaash, mera dil bhi koi kagaz ka tukda hota
Raat ko teri baahon mein, takiye ke niche sota
Ho, Kerala mein garmi hai, Nainital se sardi bhejo
Jo rahat pehan sake, aisa kuch bedardi bhejo
Bin teri yaadon ke, ek pal jeena hai mushkil
Kaise likh dun, tujhko kitna chahe mera dil?
Apni ik tasveer zindagi mein rakh kar bhejwa do
Main khud milne aaungi, kuch din dil ko samajh do
Tum kitni bholi ho, tum kitne achhe ho
Tum kitni seedhi ho, tum kitne sachhe ho
Pehli-pehli baar ye chahat ki hai
Pehli-pehli baar ye chahat ki hai
Kuch na samajh mein aaye, main kya karun?
Pehli-pehli baar mohabbat ki hai
Pehli-pehli baar mohabbat ki hai
Kuch na samajh mein aaye, main kya karun?
Ishq ne meri aisi halat ki hai
Ishq ne meri aisi halat ki hai
Kuch na samajh mein aaye, main kya karun?
Sign in to leave a comment.
No comments yet. Be the first!